SHAITAN-Kalp/Anugya 无损flac下载 mp3下载
SHAITAN-Kalp/Anugya 在线试听 歌词免费下载
(Anugya)
Meri aankhein jo tarse
Tujhe dekhne ko har baar
Kisi dhundhle rastein mein
Mere kho gaye armaan
Sab soona soona sa hain
Jaise main hi hoon shaitan
Tanhai kuch kehti hain
Jise sun k hoon main hairaan
(KALP)
Haan main shaitan tha
Nalayak thoda anjaan tha
Tere pyaar mein pagal jo
Ek buddhu sa insan tha
Aadat thi tu meri
Ab lo bann gayi ek aafat si
Kosun ab khudko main
Sochun kab hogi meri wapasi
Tune mujhe jaane diya
Peeche mere tera sayan
Kheenche mujhe har dum, har pal,
Har waqt
Andhera hain charo ore
Kat gaye sabhi dor
Hone ko hain baki abhi harqat, harqat
Jaise ki tere mere tootein sapne hi lagte hain
Ab mujhe apne
Waise bhi maine paya, maine khoya, maine
Roya abhi mangu kya main rab se
Tujhe chaha tha, tujhe manga tha, tujhe paya tha dil se
Is safar mein sanam, jhoothe hain kasam, yaar
Mile mushkil se
Kisi kali kali raaton se saveron tak ki baaton mein aas tha ki bas tera saath milega
Dil na sahi par haath milega
Pyaar nam ka ek phool khilega
Mera naam mit gaya
Tera imaan bik gaya
Chaand se wapas aaye pyaar ka aukad dikh gaya… . . .
(Anugya)
Anjaane mein hi sahi, galti se hi
Vaar tune kiya
Khali khali si raahon se
Teri baahon tak
Gam mera aashiyaan
Saare khwaab goom ho gaye
Saare pal kahin kho gaye
Samjhauta kaisa ye teri yaadon se
Dil samajh na sakein..
(KALP)
Abhi maine dekha liya hain jo tera chehra
Kabhi jahan hota mere nigahon ka pehra
Gali gali ghoom k main jahan bhi pahunchta
Sabhi kahe banda ye bada hai sunehra
Jo tune kabhi nahi kya mehsoos
Hota mujhe isiliye bada afsos
Dekhegi tu mujhe aage badhte roz
Ab auzaar hain ye mera aakrosh
Jeene ke bahane peena
Peene ke bahane jeena
Akela hoon tere bina
Phir bhi chaudha hai seena
Chal raha hoon main abhi datkar
Hans kar likhoon main ye saari baatein raat bhar
Badh raha hoon main nahi ruk kar
Gadbad lage naye pyaar ke woh avsar
Bigde zamane mein main pyaar ka khilauna bane
Seh liya poore saat saalon k ghav
Tagdi zooban se kavitayein jo ugle
Flow mera aisa ki zameen pe na pav
Sun le tu hain ye mera pehla padav
Peeche chod aaya main utar aur chadhav